'Satyagraha', 'Asahyog Andolan' and 'Savinay Avagya Andolan' were Gandhiji's weapons.
Annaji ne Gandhian vichaardhara ko punerjivit kerna ka prayaas kiya hai.
Gandhiji ne humesha mana tha ki humari sanskriti mein jo humesha tha
mein ussi ko aage vartaman sandharbh mein badha raha hoon
mein bhi manti hoon ki jo kucch bhi hum karte hein ussme sab purana hi hota hai,
quonki vaqt ka pahiya ghumte ghumte hur kal ki samasyaon ka nivaran karta jata hai.
samasyaien sada vahin hein,busss vaqt ki parat usse nayapan detti jatti hai.
Manushya hai,samasyayein hein,bhavnayein hein to bhrastachaar bhi hai
usse humein aaj kaise neebatna hai,
isse savinaye avagya,asahyog andolon,
ya satyagrah se neebta ja sakta hai,
kintu shantipurn tareeqe se kiya gaya aandolon bhi
jeevan ki dhara ko baar baar roke to pragatti rukkegi...
aakhir sarkar ko suunane ke liye
jan sailab ka sadkon per aana quon zaroori lag raha hai???
Abhi taq hue jitne bhi chote-bade aandolanon ka zikrq mein karoongi
wah shahron taq simtae thae,
aur kai gaon taq bhi pahunchae,
lekin unka iss tarah hinsak hona kahin nahinn jhalka
jaisa humare aas-pass ke deshon mein ho raha hai.
Chahe pahle Russia mein hua,Phir China mein hua
Iraq-Iran,Arab,Syria,Pakistan,Afganistan...
Bass nam lo aur soccho aakhir quon jantantra ke liye hi sahi,
iss khuni va raqt ranjit aandolonon ke daur mein
humara desh shantiipurn tareeeqe ko aadhik tarzeeh deta aaya hai???
Isske muul mein Upnishaadkal se
humara "NIVREETIVAAD" ko mahatva denewali manseekta hii hai.
Issi ne Gautam Buddh ko Rajkumar Sidhartha se Mahatma buddh banaya...
Issi ne Mahatma Gandhiji ko spariwar aashramon mein baas ker purea desh ko
Apna Pariwaar banana seekhaya.
Yehi Aadhyatmavaad hai,jo aaj bhi iss desh ko khuni kranti kerne se roktii hai.
Sil-silewar roop se aagar haal ke 10-12 saalon ke
chote-badde aur kucch vivaadaspad aandolanon ka aadhyan karein
tooo kuch vaquon ke allawa,usske mool mein
shantipurn tareeke se vyakt vichar hii preshit hote hein.
Yei vo beej hein jo humare purvajoon ne boiye hein....
aur humm mein aaj bhi maujood hein.Subhash Chandra Bose,Chandrashekhar,Sukhdev,Bhagat singh,Rajguru etc
ka tareeqa kucch aalag tha
per siddhanton se pare va aatti raqt ranjit nahin tha.
Aab mein samkaleen yani peechle kucch deenon ki batein karoon to,
Aanaji ke vyaqtitva ka prabhav hii hai,
ki Jan-sailab iitna saymitt aur prashanchiit hai,
mano Common-Wealth Games aur World-Cup ke dauran
ikkahtta ho jhuumnein wala India,
abb Socch mein iss Aakrosh ko liye Khadda hain,
ki Aabb hum BHRASTACHAAR AUR NAHIN SAHEINGE/ENOUGH IS ENOUGH.
Lagatar uujagar honewali scams,
bhrastachaar ke cases,
bade ghotale isske liye kaffi zimmewarr hein.
Ek Buzurg Jinka Sadgiipurn vyaktitva,
aur Gandhivaadi Socch Sabko Prabhavitt karta hai,
jo humare liyye ittna kucch ker rahe hein,
too hum sub unse prerna lekar "ISS LADAI KO MUKAAM TAQ PAHUNCHAYEINGE."
Savidhaan ne sadkon per aakar aandolonon ka aadhikar to diya hai,
lekin usse se sambandhiit bahut sii batein hein jo soochnewali hein.
Neeyamiit taur per iss hathiyaar ka upyog deshvyapi aaandolon ker
sansad sadasyon ko yaad deelane ki koshish hai ki aap ka kartavya kya hai,
aur kinn muddon ko aap tarjeeh nahin de rahe hein
jabki yeh behad aavashyak hai...gaur kernewali hogi???
Jab taq jansailab protest yani aawaaz nahin utthati,
tab taq sarkar ya sansad nahin sunnti,
toooo woh bhi galat hai!!
to be contd...
Aaj jab humare aas-pass ke tamam deshon mein,
aatankvaad aur tanashahi ke khilaaf aam janta ne bagawat ki hai.
Yeh shubh sanket hai.
Sab Loktantra chahte hein.
Ve humari taraf Prernadayi nazaron se dekh rahe hain.
Duniya ka sabse prachiin jantantra jo ki design se yani swatt loktantra hai,
vah America hai.Lekin uske badd- ek bada jantantra humara desh hai.
Eiisne lokshahi,rajshahi,videshi rajshahi ke tantra se gujarte hue loktantra ko chuna.Iss liye humari sanskriti aur mansikkta kucch unse aalag hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment