AAJ KA SAACH----VIBHA TAILANG
AAJ KA SAACH
Bhai mere
Kab tak jhuthalaoge
Pet ki aag ko
Kab tak bahlaoge
Aantdiyon ki eithan ko
Qua tumhare mann mein koi viddroh nahin hota?
Aakhir kab tak rahoge
Iss kaanch ke ghar mein?
Apne pita aur unke pita bhi
Issi kanch ke ghar mein rahe
Balki saans lene ke liye unhein
Hawa bhi mangni padi
Magar ab nahin hoga mujhse
Beant bunna ki jidhar jhukaya
Jayega udher jhukungi
Mere kandhon per hai YUVAON ke rakht ka bojh
Meri aankhon mein jal raha hai palas van
Rom-rom mein dukhta hai
Taaze sapnon ka lal lahu
Ek sawal fhir mere mann ko roandata hai,
Kaise lahluhaan ho gaye
Katon ke van mein foolon ka suhag?
Kyon bairon chitthi se fhir rahen hain
Khali haath log?
Sochiti hoon,
Basta ka bojh kitna bhari tha
Per kitni halki ho gai hai zindgai!
Per mein seekh liya hai,
Ki ab pet ko pet
Aur roti ko roti kahoongi
Kyonki meinne mahsoos kiya hai
Pet ki aag ko
Dekha hai
Bhook aur roti ke mahayuddh ko
Aur issliye
Meinne jaan liya hai
Ki bhook fool se ya kaagaz se nahin,
Roti se boojhti hai!
Yahi hai mere bhai,
AAJ KA SAACH!!
VIBHA TAILANG
1983 batch
Tuesday, August 17, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment