Wednesday, May 9, 2012

Bhroon hatya-ek abhishaap jo vyapar bhi hai....Vibha...C.Tailang 0 टिप्पणियाँ(already published in Dainik Bhasker in 2008..VT) प्रस्तुतकर्ता Aditi Foundation पर 8:10:00 am इस संदेश के लिए लिंक


Bhroon hatya-ek abhishaap jo vyapar bhi hai....Vibha...C.Tailang 0 टिप्पणियाँ प्रस्तुतकर्ता Aditi Foundation पर 8:10:00 am इस संदेश के लिए लिंक Subh sanket hai. Ek krantikari faisle ki shuruat hai. Palwal ke upmandal dandadhikari ki adalat ne Palwal mein ultrasound kendra chalane vale ek doctor aur uske sahayak ko PNDT act ke tahat do-do saal ki kaid aur paanch-paanch hazaar rupey zurmane ki saza sunayi hai.Isss faisale ke mutabik prasav poorv ling jaanch ko ek jaghanya jurm mante hue Palwal mein Anil ultrasound ke malik Dr.Anil Sobhani aur uske technique sahayak ko saza sunayi gayi. Swastheya vibhaga ki oor se yeh mamla october 2001 mein darz karvaya gaya tha. Issse pahle july 2003 mein Ropadr zila ki Neelam Kohli ko ek haazar rupea zurmana kiya gaya tha. Yeh qanoon san 1994 mein bana tha. Qanoon banne ke barah salon baad pahli baar hue Iss faise mein UNDF ki Radhika Kaul Batra manti hain ki kami qanoon mein nahin balki isske karyavenyan mein hai. Aur issliye desh ki jansaaankhya anupat prati hazzar ladkon mein aath sao ladkiyan hain ya usse bhi kam. Bhartiya Canadian serve ke mutabik prati varsh 5,00.000(aaadhe millienium) Bhroon hatyaein humare desh mein hoti hain jabki bharat ke IMA ke serve ke mutabiq prativarsh 5milliienium bhroonn hatyein ho rahin hain. 'Putra Kuntha' se grasit humare samaj mein bhroon hatya takreeban 500-1,000 crore kamayiwala udyog hai jahan khatre ki goonjaish kum hi hai. Yahan prativarsh lakhon bhrunon ki hatya sirf das se pandrah hazar rupyon ke der per hoti hai. Inn doctoron ki jansankhyadesh ki jannsankhyan ka das pratishat hai. Aakhir sabko saza suna pana qua aasan kam hai? Khasker jabki unki aapsi batein code bhasha mein hoti ho? V for victory hai to beta hai, nahin to beti hai. Somvaar ko report lene aao...to beta hai aur sukravaar ko bulaya jaye too beti hai. Hariyana ke bhutpurva swasthya pramukh jahan issharon hi isharon mein kam hota ho vahan aaapradhiyon ko saza dilwana aasan nahin.' Aur to aur, nayi taqniq PGD ke ijad hone se aapradhiyon ka kam aur aasan ho gaya hai. Vigyan ek oor aur aasan ho gaya hai. Vigyan ek oor hamari samasyain dur karta hai vahin doosri oor vah qanoon ka dhata batane ke naye naye tarike bhi dhoondh nikalta hai. Ek issi hi'khtrnak' taqniq bhi idhar chrcha mein hai. Isse PGD(ericson ki taqnic bhi kahtein kahtein hain)ya poorv ling nirdharann kahte hain) Iss mein stree ke aandashye se aande liye jate heinn. Fhir unhein ek tashtri mein prayogshaala mein 'fertilize' kiya jata hai...purush shukranuon ke saath. Isse badi nazakat ke saath ek'Inncubator' mein panapne ke liye rakha jata hai. 72 ghante baad 8koshikaon wale iss'yugm' ko ek behad unnat technic istemal karke prayogshala mein shaktishali shukhmdarshi ke neeche rakhkar isski shukhsm jaanch hoti hai. Keval xy(ex wai) kromozome se hi yeh pacca ker diya jata hai ki kritrim roop se ladka ka hi bhrooon sthapit ho. To yahan zara hoshiyaari ki baat yeh hai ki bhroon bada ho fhir usska ling pata lage. Fhir uska garphpaat ker bhuroonhatya ki naobat hi na aaye. Yani ki shuru mein hi tay ho jaye ki jo'Baccha' honewala hai wah aage chalkar ladke ke roop mein hi paida ho to phir bhavishya mein bhuroon hatya ki zaroorat hi nahin padegi. Yeh ek khatarnak technic hai aur mahenga bhi. Jismein jo log'Ladkon" ki chaah rakhte hein unke garbh mein 'Ladki" kabhi aane ki naubat hi nahin hogi. Iss technic per bhi nigrani rakhne ki zaroorat hai. San 1990 mein Shri Amartya Sen ne likha tha ki jalde hi vishwa mein mahilaon ka aanupat 100 million kum hoga. Vajah hai Bharat,China,Dakhsin Korea mein bhroon hatya ki. Haal hi mein T.V.Shekhar aur Matiaz Larzan ke mutabik,"Bisvin sadi ke janganna report mein mahilaon ki jansankhya lagataar ghatti hui darz hui hai." Aab sabse bada aur aaham sawal hai ki yeh vaishvik 'bimari', jismein humara desh bhi shamil hai, aakhir quon faiil rahi hai? Isske picche vajah hai humari ieetihasik, sanskritik aur samajik soch. Humara samaj purush pradhan samaj hai. Yahan aaj bhi kunbay ka mukhiya purush hai aur uska nirnaya aantim hota hai. Uski aarthik aatmnirbhrta usse aaham darja deti hai. Jahan Purush ki kamai sampati hai,wahin sitriyon ki kamai matr tankhwah. Putr kunbey aur ma-baap ki zimmedari uddhanne ke liye baadhye hai. Issliye wah parivaar ki dhuri hai. Vaansh ko aage badhanewala hai. Badon ke mritue per' Mukhagni' dekar unhein mukti dilanewala hai. Striyan bahu ke roop mein vansh chalanewali machine hai. Parivaar ke aasmita, iizzat, ki pratik hai. Wah Padmini hai,Sati hai. Jhansi ki Rani bann sake isske liye picchle kucch prayas hue hain. Utradhikari kanoon mein bete-betiyon ko barabari ka derjadene ki peshkash hui hai. Per inn sanshodhano ne ladkiyon ki mushlilein badha di hein. Dahej pratha se trast ma-baap nahin chahte ki sampati mein betiyon ko haq diya jaye aur issliye betiyan unn per bhar hain. Shikshan sanshthanon mein aaaj bhi prati kaqsha ladkon ki sankhya ladkiyon se aadhik hai. Ma-baap aaj bhi ladkon ki padhai mein adhik nivesh karna chahte hein. Aakhir betiyan too parayi ghar jayeingi. Aakhir sadiyon se samarajya bananewale,vansh chalanewale, purwajon ke nam,dhan,yash ka uttaradhikari beta hi raha hai. Ladkiyon ko too sampati ke saath loota jata tha. Usse ghoonghat ya burqe mein sahej, sanjo aur saja ker rakha jata raha hai. Vah mata hai, prajapalak ya parivaarpalaj nahin. Stithiyan tezi se badal rahin heinn per uss mughalkaleen soch ki bedeyon se hum poori tarah mukht nahin ho paye hein. Phir badhte aapradh,youn shoshan,mahngai, berozgaari jahan jeevan saansat mein hai, veh striyon ko brabri ka darza dene ke liye itni aasani se kaise taiyyar honge?? Waqt karvat badal raha hai.Hur kshetra mein mahilayein dastak de rahin hein. Aagaz aaccha hai. Samasyain hein tooo nidaan bhi hoga. zaroorat hai-Ma-Baap betiyon mein nivesh karein. Unhe padha-likhaker susanskrit karen taki veh unki sahi uttradhikari bane aur unhein aade waqt per sahara de sake.Isske liye kanoonvidon ko kanoon mein sanshodhaan too karne hi padeinge ladkiyon ko bhi tamam kuritiyon ke khilaaf ladna aur aadna hoga. Bhroon hatya kewal ek bhroon ki hatya hi nahin hai apiitu puree samaj aur insaaniyaat ki hatya hai. Iss per aankush lagaane ke liye puree samaj mein jagrookta ki aavyashkta hai. Aaj jahan hum stree ke mahan swaroop ko swikaar ker rahe hein wahin bhroon-hatyein jaisi kuritiyaan zoor pakaad rahin hai. Eisa zoorm kernevale doctors aur abhibhavkon ko aur bhi kadi saza di jaye to galat nahin hoga. Vibha.c.Tailang(already published in Dainik Bhaskar 2008)

No comments: